Sunday 29 March 2015

Kitani Girahein Kholi Hain Maine - Gulzar

Kitni girhein kholi hain maine, kitni girhein ab baaki hai

paanv mein payal, baahon mein kangan, gale mein hansli, kamar band, challe aur bichue

naak kaan chidwaayein gaye hain, aur zevar zevar kehte kehte

reet rivaaj ke rassiyon se main jakdi gayi ,uff kitni tarah main pakdi gayi

ab chilne lage hain haath paanv, aur kitni kharaashein ubhri hain,

kitni girhein kholi hain maine, kitni rassiyaan utari hain

Ang ang mera roop rang, mere naksh nain, mere bol bain

meri aawaaz mein koyal ki tareef hui, mere zulf saanp, meri zulf raat,

zulfon mein ghata mere lab gulaab, meri aankhein sharaab

ghazal aur nazmein kehte kehte husn aur ishq ke afasano mein main jakdi gayi

uff kitni tarah main pakdi gayi

main poochun zara, aankhon mein sharaab dikhe sabko, akaash nahi dekha koi

saawan bhado to dikhe magar, kya dard nahi dekha koi

phan ki jheeni si chaadar mein, buth cheele gaye uriyaani ke

taaga taaga karke poshaaq utaari gayi

mere jism pe phan ki mashq hui, aur art kala kehte kehte sange marmar mein jakdi gayi

batlaaye koi batlaaye koi, kitni girhein kholi hain maine, kitni girhein ab baaki hain

 - Gulzar

No comments:

Post a Comment

Share your thoughts